Romantic Shayari

 

Waqt Suhana


Bhulaya Nahi Jata Voh Waqt Suhana,
Bar Bar Tera Voh Mere Paas Aana Jana,

Kaise Bhool Jayun Voh Tera Nazarein Milana,
Bhari Dopehar Mein Aakar Mujhse Lipat Jana.

 

 

 

Bekarar


Tujhe Bahon Mein Bharkar Kitna Pyar Kiya Tha,
Kya Yaad Hai Tujhe, Tune Ikarar Kiya Tha,
Kitni Raatein Humne Saath Saath Gujari Thi,
Aur Maine Tujhe Choom Choom Kar Bekarar Kiya Tha.

 

 

 

jeise jo samjna hei

 

jeise jo samjna hei usei woh samajh nei do.....
par tum apne pyaar ko kabhi kisi k leye na dhal nei do.....
teri bechaini ka naam mohabat hei....
tum eis mohabat ko tumhein apna nei do.....
hei yei mohabat sirf hum aashiqon ka aalam....
eis aalam ko badnaam kabhi kisi ko na karnei do....!!!!

 

 

 

Pyaar Ki Wo Misaal Banayenge Hum

 

Pyaar Ki Wo Misaal Banayenge Hum,
Aankhen Band Karoge To Nazar Aayenge Hum.
Bhar Denge Itna Pyaar Dil Mein Ki,
Khud Se Pehle Yaad Aayenge Hum.

 

 

 

Fiza Par Asar Hawaon Ka Hota Hai

 

Fiza Par Asar Hawaon Ka Hota Hai,
Mohabbat Par Asar Adaon Ka Hota Hai,
Koi Aisa Hi Kisi Ka Diwana Nahi Hota,
Kuch Kasoor To Nigahon Ka Hota Hai

 

 

 

 

 

Aankh Mila Kar Phir Unhe Muskura Ke Jhukane Mein

 

 

Aankh Mila Kar Phir Unhe Muskura Ke Jhukane Mein
Bahut Kashish Hai Yun Nazakat Se Sharmane Mein

Hazaaron Naghme Fiza Mein Bikhar Gaye Jaise
Bahut Kashish Hai Unko Labon Pur Sazaane Mein

Naram Kalaion Mein Pahani Hai Rangeen Churiyan
Bahut Kashish Hai Un Haathon Ki Mehndi Rachane Mein

 

 

 

 

Jab Khamosh Aankhon Se Baat Hoti Hai

 

 

Jab Khamosh Aankhon Se Baat Hoti Hai
Ayse Hi Mohabbat Ki Shorowat Hoti Hai
Tumhare Hi Khayalon Main Khoye Rehte Hain
Pata Nahin Kab Din Aur Kab Raat Hoti Hai

 

 

 

 

Har Pal Ne Kaha Ek Pal Se

 

Har Pal Ne Kaha Ek Pal Se,
Pal Bhar Ke Liye Aap Mere Samne Aa Jao,
Pal Bhar Ka Saath Kuch Aisa Ho,
Ki Har Pal Tum Hi Yaad Aao.

 

 

 

 

Har Nazar Ko Ek Nazar Ki Talash Hai

 

Har Nazar Ko Ek Nazar Ki Talash Hai,
Har Dil Mein Chupa Ek Ehsaas Hai,
Aap Se Pyaar Yuhi Nahi Kiya Humne,
Kya Kare Hamari Pasand Hi Kuch Khaas Hai.