Urdu Love Shayari

 

Dastoor Zalim Zamaane Ka


Khwab To Humne Bhi Dekha Tha Aashiyane Ka,
Varna Shauk Humko Bhi Nahi Tha Veerane Ka.
Base Basaaye Nasheman Per Girate Hain Bijliyan,
Dastoor Ye Maloom Nahi Tha Zalim Zamaane Ka.

 

 

 

 

Raah-Gujar

Shiddate Gham Se Mehfooz Koi Bashar Nahi,
Fir Bhi Humare Dard Ki Unko Khabar Nahi.
Vo Roz Sare-Sham Nikalate Hain, Shahar Mein,
Bas Meri Raah Hi Unki Raah-Gujar Nahi.

 

 

 


Sharm Se Mar Jayenge


Kabhi Vo Aakhon Mein Bas Kar Dil Mein Utar Jayenge,
Us Din Meri Ummidon Ke Phool Sanvar Jayenge.
Shabe Vasl Jab Ghoonghat Uthaunga To Lazakar Kahenge,
Allah! Yoon Na Dekho Hum Sharm Se Mar Jayenge.

 

 

 


Vahi Bewafa


Vaqte Rukhsaat Bhi Banke Vaqte Kazaa Aaya,
Mere Hothon Per Geet Mera Banke Sadaa Aaya.
Kiya Jab Charcha Kisi Ne Wafaon-Zafaon Ka,
Mujhe Fir Yaad Bar-Bar Vahi Bewafa Aaya.

 

 

 

 

Zindagi Jaise Ek Saza


Ek Zara Si Bhool Khata Ho Gayi,
Zindagi Jaise Ek Saza Ho Gayi,
Tum Nazron Se Door Kaya Ho Gaye,
Har Saans Maut Se Humzuban Ho Gayi.

 

 

 

 

Rakeebon Se Ulfat


Koi Muskuraye Na Mere Saamane Aakar,
Ki Ab Phullon Se Dehsat Hone Lagi Hai,
Jab Se Akela Usne Chhoda Hai,
Mujhko Rakeebon Se Ulfat Hone Lagi Hai.

 

 


Tere Ishq Ki Inteha Chahata Hon

   
Tere ishq ki inteha chahata hon
meri sadgi dekh mein kiya chahata hon

ye junnat mubarik rahe zahidon ko
ke mein app mein samana chahata hon

kuch dam ka mehmaaan hon aey ahal_e mehfil
chiragh_e_sahar hon, bhujanna chahata hon

bhari bazm mein raaz ki baat keh di
banda bey-adab hon, saza chahata hon

 

 

 

 

Jab Se Tum Ne


Jubb say tum nay hay moonh hum se moorh liya
lugta hay qudrat nay b hay jaysay nata toorh liya

mayree neend ko jaysay neendh see hay aa gaie
ankhain hain pathaar ki ansooyoon nay moonh morr liya

tumhain kuch na likhain gay tum say kuch na kaheen gay
yay waada to kyaa hum nay khudd ko be toorh liya

tum nay kubhi hum ko ashna sumjaa hi nahee
husratoon kay shaher may khamooshi say nata joorh liya

 

 

 

 

Kitna Tumhe Chahta Hoon

Jab pehli baar mile the hum
Mein tab se tumhe chahta hoon
Fursat ke harr lamhe mein
Tumhe apne saath pata hoon
Tumhari yaadein jo aati hain
Mein saath unke lehraata hoon
Kaise kahoon mein tumse
Kitna tumhe chahta hoon

 

 

 

 

Tujhe Kaisay Bhula Doon

 

Lahoo say dil pay jo kheencha thha naqsh kaisay mita doon
Tuhi bata main tujhay apnay dil say kaisay bhula doon

Meri hasti ko to bas aas thhi teray wujood ki
Meri hasti ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Meri tanhaayi mein jo saath mera chhor na paaya
Shab e furqat ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Talaash e raahat e hayaat mein jeevan guzar gaya
Shaoor kho kay jo paaya hai ussay kaisay bhula doon

Wohi to yaad thhi shaadaab wo hi yaad hai shaadaab
Rahay gi yaad wo shaadaab ussay kaisay bhula doon