Dard Shayari

 

 

Voh Aaina Tha


Voh Aaina Tha Chamkata Hi Raha,
Main Cheerag Tha Bas Jalta Hi Raha.
Voh Phool Tha Aur Main, Kaanta Ek,
Voh Mehkata Hi Raha, Main Chubhta Hi Raha.

 

 

 

 

Muqaddar

 


Kise Khabar Thi Apna Aisa Muqaddar Hoga,
Voh Phoolon Ka Badan Chttaan Ka Pathar Hoga.
Shabnam Samjhate The Jise Vahi Shola Nikla,
Kya Maloom Tha, Voh Devta Bhi Sitamgar Hoga.

 

 

 

 

Zakham aur Roosvai

 


Ae Zindagi Tu Kayon Meri Tamannayi Hai,
Yahan To Bas Dard Hai, Ashk Hain, Tanhayi Hai.
Pehli Si Mohabbat Mere Se Na Maang,
Mere Paas Bas Ab Zakham aur Roosvai Hai.

 

 

 

 

Ashkon Ka Sagar


Kisi Se Kisi Ka Pyar Juda Na Ho,
Ae Khuda Be-Asar Meri Ye Dua Na Ho,
Bhara Hai Meri Aakhon Mein Ashkon Ka Sagar,
Uski Maut Per Koi Rone Wala Na Ho.

 

 

 

Jab Bhi Jikar Hoga


Jab Bhi Jikar Hoga Mera, Kabhi Tumhare Samne,
Tanhayi Mein Jakar Ashk Bahut Bahaya Karoge.

Meri Zindagi Ko Rota Tadapta Chhodkar,
Tum Apni Bewafai Per Bahut Pechtaya Karoge.

 

 

 

Ashkon Ka Sagar


Kisi Se Kisi Ka Pyar Juda Na Ho,
Ae Khuda Be-Asar Meri Ye Dua Na Ho,
Bhara Hai Meri Aakhon Mein Ashkon Ka Sagar,
Uski Maut Per Koi Rone Wala Na Ho.

 

 

 

Main Sharabi


Zindagi Ka Lutf Hai Mit Jaane Mein,
Paane Mein Kahan Maza Lutt Jaane Mein,
Main Sharabi Hoon Mujhe Pyar Maikhane Se,
Maza Peene Mein Nahi, Peeke Bahek Jaane Mein. 

 

 

 

Ashkon Ki Barsaat


Tadpoge Mujhe Tum Yaad Karke,
Subah Sham Mera Naam Lekarke,
Aur Khuda Se Fariyaad Karke,
Koi Bhi Tumhe Dilaasa Na Dega Kabhi,
Fir Aankhon Se Ashkon Ki Barsaat Karke.